#MatchKahaani (Islamabad United vs Multan Sultans)

Tau Naazreen Pichlay match kay scenes kuch aisay thay!

Match say pehle thori si baat kartay hain “The W Derby” ki.

Legends of the game, Waqar and Wasim, ka hua aik bar phir aamna saamna. Magar iss baar coaches kay kirdar main. Aik taraf thay swing kay sultan aur doosri taraf thay Yorkers kay betaaaj baadshah.

Aur aap ko tau pata hi hoga kay kaun jeeta!!!

1

Ye tau ho gayien match se pehle ki batien. Ab aatay hain match ki taraf.

Humaray chhotay kaptaan Rumman Raees ne toss jeet kar bowling ka faisla kiya. Aur ab hota hai action shuru

Pehlay hi over main Kaptaan ki bowling par Asif Ali ne slip may catch chhor kar Sangakara ko aik naayi zindagi di. Lekin is ka faida Sangakara na utha sake jiss kay liye hum unn ke bohat shukar guzaar hain.

2

Uss kay baad aaye humaray #Bullet Sami bowling karne jinhain Bravo ne pull marne ki koshish ki magar #Bullet ki pace ka tau aap ko pata hi hai. Aur aik missed time pull shot khel kar Bravo fine leg pay Steven Finn ko catch pakra kar chaltay bane.

3

Phir aaye Finn apnay PSL Debut pe. Aur unho nay kissi ko apni napi tulli bowling say hilnay na diya. Apnay spell kay teesray over main Ahmed Shehzad ko pavilion ki raah dikha di.

4

10 overs kay baad Multan sirf 42 runs hi bana saki 4 wickets kay nuksaan pay. Uss kay baad tau Shoaib bhai serious hi ho gaye.

5

Ye tau shukar hai Shadab nay point par acha catch pakar kay unhay pavilion waapis bheja. Nahi tau 113 ki bajae 130 hotay

6

Aur phir humaray chhotay kaptaan nay Waqar Younis wali 2 yorkers kara kar Multan ko 120 se neechay restrict karne main apna aahem kirdaar aada kiya. Iss tarah 20 over kay ikhtitaam main Multan sirf 113 runs hi bana saki

7

Ab chaltay hain apni batting ki taraf jaahan Ronchi kay out honay kay baad Walton nay Islamabad ko aik acha start diya. Lekin uss kay baad Imran Tahir bowling par aa gaye.

8

Phir kya tha kay hum 37/1 say 63/5 ho gaye. Phir saari zimedaari aa gayi asli #shehzaday par. Yaani Hussain Talat par

Aur jab #shehzaday nay khelna shuru kya tau bhai waah. Pressure ko apnay paas bhataknay bhi na diya.

9

Jo target 63/5 ka baad mushkil lag raha tha wo #Shehzaday ki shaandar innings ki badoolat 14 balls pehle hi haasil kar liya

10


Aur ab nazar daaltay hain kay match kay waqt humaray sherus kay kiya jazbaat thay!

 

Humara agla muqabla Quetta Gladiators kay saath. Miltay hain break kay baad!